skip to main |
skip to sidebar
The Chinku - Tinku Tale
I met Chinku 1st in some other comm [naam nahi lungi ], tab isko dekh ke ek gaana yaad aa jaya karta tha ... "aali re saali re .. yun to hai dilwali lekin muh khole to gaali re ... hatttttt"
saali bht akdu thi hamesha rude reply karti thi ... main isko kuch na bolu to bi beech me taang adaya karti thi .. kuch ajeeb sa bina sar pair ka bol jati thi .. buha
Kanu se main boli thi bi thi ek baar "ye nayi chhokri kuch zada hi smart banti hai"
uske baad ye thodi si sudhar agyi .. shayad mujhe dekh kar
tab ye Priyanka thi .. Chinku noi
main Kanu aur Priyanka .. bht matargashti karte the wahan .. hum dono ne priyanka ko samjha diya tha ki baat hansne wali ho ya nahi .. LOTPOT is MUST in every post
aur ye ache bachcho ki tarah samjah gyi ... hamesha lotpot rehne lagi lotpot maar ke Dil le gyi kudi Rajasthan ki
ek member tha usi comm me Gajju .. jo yahan bi aata tha shayad., wo priyanka ko Chinkara bolta tha
pata nahi wo kyu bolta tha, meko to bas chinkara deer yaad aa jata ... Priyanka bi waisi hi mast beautifulll , attaractive hai na
main bi isko chinkara bolne lagi thi ... fir short kar diya naam ... CHINKU .. buha
aur ye pagal ne awein hi rhyme me meko nam diya TINKU
aur wo bakwas gaana mere sath jod diya .. pal pal na maane Tinku jiya ... mummmmyyyy .. lekin chinku ke bolne se wo behadd bakwas aur utapatang gaana bi mujhe acha lagne laga
is waqt tak to Chinku ek important part ho gyi thi nahi dikhti thi onl to acha nahi lagta tha
Priyanka
0 Yorum var:
Sen de yaz